kya-kya na samne se zamane guzar gae
kyā-kyā na sāmne se zamāne guzar ga.e
ik ġham hamāre saath rahā ham jidhar ga.e
aa jā ki ab to tāb-e-shakebā.ī bhī nahīñ
ai dost tujh ko dekhe zamāne guzar ga.e
kin hādsoñ ke darmiyāñ jiinā paḌā mujhe
dekhe the jitne ḳhvāb suhāne bikhar ga.e
ham se to terā ġham bhī chhupāyā na jā sakā
lab sī liye to palkoñ pe aañsū Thahar ga.e
vo dostoñ ke dost vo ġhairoñ ke ġham-gusār
vo pur-ḳhulūs log na jaane kidhar ga.e
sunte haiñ din shabāb ke jān-e-hayāt meñ
lekin vo sub.h-o-shām jo rote guzar ga.e
ifrāt-e-ġham hī ek nahīñ maut kā sabab
fart-e-ḳhushī se bhī to ka.ī log mar ga.e
ai yād-e-yār aa ki kamī dard-e-dil meñ hai
ai chashm-e-yār dekh ka.ī zaḳhm bhar ga.e
dil bhī hai zaḳhm-zaḳhm jigar bhī lahū-lahū
tīr-e-nigāh-e-yār kahāñ tak utar ga.e
'nusrat' vo is se pahle to itne hasīñ na the
aa kar mirī nigāh meñ jitne sañvar ga.e
kya-kya na samne se zamane guzar gae
ek gham hamare sath raha hum jidhar gae
aa ja ki ab to tab-e-shakebai bhi nahin
ai dost tujh ko dekhe zamane guzar gae
kin hadson ke darmiyan jina paDa mujhe
dekhe the jitne KHwab suhane bikhar gae
hum se to tera gham bhi chhupaya na ja saka
lab si liye to palkon pe aansu Thahar gae
wo doston ke dost wo ghairon ke gham-gusar
wo pur-KHulus log na jaane kidhar gae
sunte hain din shabab ke jaan-e-hayat mein
lekin wo subh-o-sham jo rote guzar gae
ifraat-e-gham hi ek nahin maut ka sabab
fart-e-KHushi se bhi to kai log mar gae
ai yaad-e-yar aa ki kami dard-e-dil mein hai
ai chashm-e-yar dekh kai zaKHm bhar gae
dil bhi hai zaKHm-zaKHm jigar bhi lahu-lahu
tir-e-nigah-e-yar kahan tak utar gae
'nusrat' wo is se pahle to itne hasin na the
aa kar meri nigah mein jitne sanwar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.