kya kya na sahe humne sitam aap ki KHatir
kyā kyā na sahe ham ne sitam aap kī ḳhātir
ye jaan bhī jā.egī sanam aap kī ḳhātir
taḌpe haiñ sadā apnī qasam aap kī ḳhātir
niklegā kisī roz ye dam aap kī ḳhātir
ik aap jo mil jaa.eñ to mil jaa.e ḳhudā.ī
manzūr haiñ duniyāñ ke alam aap kī ḳhātir
ham aap kī tasvīr nigāhoñ meñ chhupā kar
jaagā kiye aksar shab-e-ġham aap kī ḳhātir
logoñ ne hameñ aap kā dīvāna batāyā
aise bhī hue ham pe karam aap kī ḳhātir
ham rāh-e-vafā se kabhī pīchhe na haTeñge
sun lījiye miT jā.eñge ham aap kī ḳhātir
kya kya na sahe hum ne sitam aap ki KHatir
ye jaan bhi jaegi sanam aap ki KHatir
taDpe hain sada apni qasam aap ki KHatir
niklega kisi roz ye dam aap ki KHatir
ek aap jo mil jaen to mil jae KHudai
manzur hain duniyan ke alam aap ki KHatir
hum aap ki taswir nigahon mein chhupa kar
jaga kiye aksar shab-e-gham aap ki KHatir
logon ne hamein aap ka diwana bataya
aise bhi hue hum pe karam aap ki KHatir
hum rah-e-wafa se kabhi pichhe na haTenge
sun lijiye miT jaenge hum aap ki KHatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.