kya la-makan se aage zamin aasman hain aur
kyā lā-makāñ se aage zamīñ āsmāñ haiñ aur
kyā kuchh makīñ bhī aur haiñ kyā kuchh makāñ haiñ aur
sāhil nahīñ milā magar itnā pata chalā
is bahr meñ jazīre ka.ī be-nishāñ haiñ aur
jhuktī haiñ jin ke aage muḳhālif havā.eñ bhī
vo kashtiyāñ hī aur haiñ vo bādbāñ haiñ aur
sahrā jo mauj-e-reg huā kuchh bhī ġham nahīñ
dariyā meñ bhī tumhāre qadam ke nishāñ haiñ aur
un se mukālima thā muqaddar tamām-umr
apnī zabān aur vo ahl-e-zabāñ haiñ aur
betāb kāmyāb hue ham hazār baar
har baar ye sunā ki abhī imtihāñ haiñ aur
kya la-makan se aage zamin aasman hain aur
kya kuchh makin bhi aur hain kya kuchh makan hain aur
sahil nahin mila magar itna pata chala
is bahr mein jazire kai be-nishan hain aur
jhukti hain jin ke aage muKHalif hawaen bhi
wo kashtiyan hi aur hain wo baadban hain aur
sahra jo mauj-e-reg hua kuchh bhi gham nahin
dariya mein bhi tumhaare qadam ke nishan hain aur
un se mukalima tha muqaddar tamam-umr
apni zaban aur wo ahl-e-zaban hain aur
betab kaamyab hue hum hazar bar
har bar ye suna ki abhi imtihan hain aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.