kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
kyā liye jaate ho chupke se chhupā kar haath meñ
dil nahīñ hai gar to kyā hai banda-parvar haath meñ
til hathelī kā hai daana aur lakīreñ daam haiñ
tā.ir-e-rañg-e-hinā aatā hai uḌ kar haath meñ
jazba-e-dil ne jo ghabrāyā pahan kar chal diye
haath kā paaoñ meñ aur paaoñ kā zevar haath meñ
le uḌā kyā iztirāb-e-justujū-e-nāma-bar
maiñ jo uchhlā aa ga.e jibrīl ke par haath meñ
huuñ vo dīvāna tirā sahrā meñ jis kī dhuum thī
dekh kar majnūñ uThā letā thā patthar haath meñ
kal kisī kā ḳhuun hogā shahr meñ mash.hūr hai
'sho.ala' mehñdī lag rahī hai aaj ghar ghar haath meñ
kya liye jate ho chupke se chhupa kar hath mein
dil nahin hai gar to kya hai banda-parwar hath mein
til hatheli ka hai dana aur lakiren dam hain
tair-e-rang-e-hina aata hai uD kar hath mein
jazba-e-dil ne jo ghabraya pahan kar chal diye
hath ka paon mein aur paon ka zewar hath mein
le uDa kya iztirab-e-justuju-e-nama-bar
main jo uchhla aa gae jibril ke par hath mein
hun wo diwana tera sahra mein jis ki dhum thi
dekh kar majnun uTha leta tha patthar hath mein
kal kisi ka KHun hoga shahr mein mashhur hai
'shoala' mehndi lag rahi hai aaj ghar ghar hath mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 132)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.