kya lutf ki wo zulm bhi jari nahin rakhte
kyā lutf ki vo zulm bhī jaarī nahīñ rakhte
kyā dost haiñ kuchh laaj hamārī nahīñ rakhte
ham lipTe hue ghar se bhī rahte nahīñ lekin
hijrat kā koī ḳhauf bhī taarī nahīñ rakhte
e.ajāz-e-taḳhayyul se pahuñchte haiñ sar-e-arsh
ham ahl-e-hunar koī savārī nahīñ rakhte
rahne pe nahīñ tum hī jo tayyār to jaao
ham koī nishānī bhī tumhārī nahīñ rakhte
ye yaad rahe aan pe mar miTte haiñ ham log
mat bhūlnā ham jaan bhī pyārī nahīñ rakhte
kyuuñ bojh paroñ kā liye phirte haiñ na jaane
'ayyāz' parinde jo aTārī nahīñ rakhte
kya lutf ki wo zulm bhi jari nahin rakhte
kya dost hain kuchh laj hamari nahin rakhte
hum lipTe hue ghar se bhi rahte nahin lekin
hijrat ka koi KHauf bhi tari nahin rakhte
eajaz-e-taKHayyul se pahunchte hain sar-e-arsh
hum ahl-e-hunar koi sawari nahin rakhte
rahne pe nahin tum hi jo tayyar to jao
hum koi nishani bhi tumhaari nahin rakhte
ye yaad rahe aan pe mar miTte hain hum log
mat bhulna hum jaan bhi pyari nahin rakhte
kyun bojh paron ka liye phirte hain na jaane
'ayyaz' parinde jo aTari nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.