kya lutf zindagi ka uThane lage hain log
kyā lutf zindagī kā uThāne lage haiñ log
din meñ bhī ab charāġh jalāne lage haiñ log
ā.īna zindagī ko dikhāne lage haiñ log
merī ġhazal ko sarqa batāne lage haiñ log
har jā pe zarf apnā dikhāne lage haiñ log
chādar se apnī paañv baḌhāne lage haiñ log
tārīḳh-e-nau nisāb meñ aa.ī hai is tarah
maazī ke saare naqsh miTāne lage haiñ log
dīvāngī kī had se bhī aage nikal ga.e
marhūm ko ḳhutūt likhāne lage haiñ log
amn-o-amāñ kī paidā ho is mulk meñ fazā
kyoñ nafratoñ ke peḌ ugāne lage haiñ log
aa.ī na raas jab unheñ shahroñ kī zindagī
sahrā kī samt dekhiye jaane lage haiñ log
ash.ār merī ġhazloñ ke chhūne lage haiñ dil
apne diloñ meñ mujh ko biThāne lage haiñ log
ye bhī to ai 'latīf' siyāsat kī den hai
sar par gadhoñ ke siiñg ugāne lage haiñ log
kya lutf zindagi ka uThane lage hain log
din mein bhi ab charagh jalane lage hain log
aaina zindagi ko dikhane lage hain log
meri ghazal ko sarqa batane lage hain log
har ja pe zarf apna dikhane lage hain log
chadar se apni panw baDhane lage hain log
tariKH-e-nau nisab mein aai hai is tarah
mazi ke sare naqsh miTane lage hain log
diwangi ki had se bhi aage nikal gae
marhum ko KHutut likhane lage hain log
amn-o-aman ki paida ho is mulk mein faza
kyon nafraton ke peD ugane lage hain log
aai na ras jab unhen shahron ki zindagi
sahra ki samt dekhiye jaane lage hain log
ashaar meri ghazlon ke chhune lage hain dil
apne dilon mein mujh ko biThane lage hain log
ye bhi to ai 'latif' siyasat ki den hai
sar par gadhon ke sing ugane lage hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.