kya main ek harf tha likha yun hi
kyā maiñ ik harf thā likhā yuuñ hī
merā honā bhī bas huā yuuñ hī
jāntī huuñ ki tum ko pyaar nahīñ
yuuñ hī mujh ko lagā lagā yuuñ hī
ik ḳhudā kī vo baat kartā thā
aur phir ho gayā ḳhudā yuuñ hī
kyā patā kab qubūl ho jaa.e
tū bhī to maañg liiñ duā yuuñ hī
ek ḳhadsha hai bahke qadmoñ se
DhūñD hī leñ na rāsta yuuñ hī
vo hamāre the aur ham un ke
aa ga.ī darmiyāñ anā yuuñ hī
tum ne jo kuchh kahā kahā yuuñ hī
maiñ ne bhī sun liyā sunā yuuñ hī
ek lamhe meñ dil huā un kā
ho gayā thā ye faisla yuuñ hī
kyā zarūrī hai manziloñ kā safar
tū bhī chal koī rāsta yuuñ hī
muḳhtasar sī hai dāstāñ 'mītā'
har koī bas jiyā jiyā yuuñ hī
kya main ek harf tha likha yun hi
mera hona bhi bas hua yun hi
jaanti hun ki tum ko pyar nahin
yun hi mujh ko laga laga yun hi
ek KHuda ki wo baat karta tha
aur phir ho gaya KHuda yun hi
kya pata kab qubul ho jae
tu bhi to mang lin dua yun hi
ek KHadsha hai bahke qadmon se
DhunD hi len na rasta yun hi
wo hamare the aur hum un ke
aa gai darmiyan ana yun hi
tum ne jo kuchh kaha kaha yun hi
main ne bhi sun liya suna yun hi
ek lamhe mein dil hua un ka
ho gaya tha ye faisla yun hi
kya zaruri hai manzilon ka safar
tu bhi chal koi rasta yun hi
muKHtasar si hai dastan 'mita'
har koi bas jiya jiya yun hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.