kya mata-e-zist hai kya zist ka unwan hai
kya mata-e-zist hai kya zist ka unwan hai
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
kyā matā-e-zīst hai kyā ziist kā unvān hai
tū sarā-e-dahr meñ do roz kā mehmān hai
jo mizāj-e-yār meñ aa.e sazā farmā.iye
sar jhukā.e bazm meñ haarā huā sultān hai
umr-bhar tū mujh ko Thokar maar kar hañstī rahī
mujh pe ai duniyā tirā kitnā baḌā ehsān hai
ab shikāyat kā koī pahlū nazar aatā nahīñ
maiñ bhī be-īmān huuñ kuchh tū bhī be-īmān hai
ḳhushbueñ tere badan kī aa to saktī haiñ yahāñ
is makāñ meñ kam se kam aisā to raushan-dān hai
kya mata-e-zist hai kya zist ka unwan hai
tu sara-e-dahr mein do roz ka mehman hai
jo mizaj-e-yar mein aae saza farmaiye
sar jhukae bazm mein haara hua sultan hai
umr-bhar tu mujh ko Thokar mar kar hansti rahi
mujh pe ai duniya tera kitna baDa ehsan hai
ab shikayat ka koi pahlu nazar aata nahin
main bhi be-iman hun kuchh tu bhi be-iman hai
KHushbuen tere badan ki aa to sakti hain yahan
is makan mein kam se kam aisa to raushan-dan hai
- Book : سائبان غزل (Pg. 72)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.