kya mein kya etibar mera
kyā meñ kyā e'tibār merā
ḳhvārī bas iftiḳhār merā
nāseh bole hai yuuñ ki goyā
dil par hai kuchh iḳhtiyār merā
ai shāh-savār añd-kai johd
zaḳhmī hai nipaT shikār merā
Tuk bachiyo sabā ki har qadam par
us kūche meñ hai ġhubār merā
vo kashti-e-mai de ab ke saaqī
jis meñ khevā ho paar merā
sad-bahr dar-āstīñ hai jo abr
vo jeb hai yā kanār merā
'qā.em' huuñ agarche hech lekin
kyā kyā kuchh hai e'tibār merā
kya mein kya e'tibar mera
KHwari bas iftiKHar mera
naseh bole hai yun ki goya
dil par hai kuchh iKHtiyar mera
ai shah-sawar and-kai johd
zaKHmi hai nipaT shikar mera
Tuk bachiyo saba ki har qadam par
us kuche mein hai ghubar mera
wo kashti-e-mai de ab ke saqi
jis mein khewa ho par mera
sad-bahr dar-astin hai jo abr
wo jeb hai ya kanar mera
'qaem' hun agarche hech lekin
kya kya kuchh hai e'tibar mera
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.