kya mere qafas mein paDne par kaliyon ne chaTakna chhoD diya
kya mere qafas mein paDne par kaliyon ne chaTakna chhoD diya
Naim Siddiqi
MORE BYNaim Siddiqi
kyā mere qafas meñ paḌne par kaliyoñ ne chaTaknā chhoḌ diyā
rangoñ ne nikharnā chhoḌ diyā ḳhushbū ne mahaknā chhoḌ diyā
gulshan kī junūñ-añgez fazā kyā vaisī junūñ-añgez nahīñ
bulbul ne baġhāvat kī lai meñ kyā ab se chahaknā chhoḌ diyā
zulmat ke ḳhudāo khul ke kaho kyā nuur ne ghuTne Tek diye
sūraj ne chamaknā chhoḌ diyā tāroñ ne chhiTaknā chhoḌ diyā
ab ishq ke siine ke andar tūfān umaDte haiñ ki nahīñ
kyā husn kī palkoñ ke uupar motī ne damaknā chhoḌ diyā
kuchh maiḳhāne kā haal kaho kyā jaam se gardish chhūT ga.ī
kyā mai se nasha uḌ uḌ niklā rindoñ ne bahaknā chhoḌ diyā
kya mere qafas mein paDne par kaliyon ne chaTakna chhoD diya
rangon ne nikharna chhoD diya KHushbu ne mahakna chhoD diya
gulshan ki junun-angez faza kya waisi junun-angez nahin
bulbul ne baghawat ki lai mein kya ab se chahakna chhoD diya
zulmat ke KHudao khul ke kaho kya nur ne ghuTne Tek diye
suraj ne chamakna chhoD diya taron ne chhiTakna chhoD diya
ab ishq ke sine ke andar tufan umaDte hain ki nahin
kya husn ki palkon ke upar moti ne damakna chhoD diya
kuchh maiKHane ka haal kaho kya jam se gardish chhuT gai
kya mai se nasha uD uD nikla rindon ne bahakna chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.