kya mile aap ki mahfil mein bhala ek se ek
kyā mile aap kī mahfil meñ bhalā ek se ek
rashk aisā hai ki baiThā hai judā ek se ek
dil mile haath mile uTh ke nigāheñ bhī milīñ
vasl bhī iid hai milne ko baḌhā ek se ek
aise-vaisoñ ko to muñh bhī na lagāyā ham ne
māh-rū ham ko to achchhā hī milā ek se ek
kaan se dil ne liyā dil se ragoñ ne chhīnā
le rahā hai tirī bātoñ kā mazā ek se ek
zarf dekhā ye mai-e-ishq ke sarshāroñ kā
be-ḳhudī meñ bhī to 'beḳhud' na khulā ek se ek
kya mile aap ki mahfil mein bhala ek se ek
rashk aisa hai ki baiTha hai juda ek se ek
dil mile hath mile uTh ke nigahen bhi milin
wasl bhi id hai milne ko baDha ek se ek
aise-waison ko to munh bhi na lagaya hum ne
mah-ru hum ko to achchha hi mila ek se ek
kan se dil ne liya dil se ragon ne chhina
le raha hai teri baaton ka maza ek se ek
zarf dekha ye mai-e-ishq ke sarshaaron ka
be-KHudi mein bhi to 'beKHud' na khula ek se ek
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 168)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.