kya milega sukun ki wahshat hai
kyā milegā sukūñ ki vahshat hai
ho ke bekal phirūñ ki vahshat hai
kisī jānib bhī dil nahīñ lagtā
ishq hai yā junūñ ki vahshat hai
dauḌtā huuñ idhar-udhar kaise
be-qarārī hai chūñ-ki vahshat hai
kāTtī hai ye jhoñpḌī mujh ko
us kī jānib chalūñ ki vahshat hai
ye mirā iztirāb hai kyā hai
hai ye hāl-e-zabūñ ki vahshat hai
hai ye koī fusūñ ki vahshat hai
kuchh pareshān huuñ ki vahshat hai
kya milega sukun ki wahshat hai
ho ke bekal phirun ki wahshat hai
kisi jaanib bhi dil nahin lagta
ishq hai ya junun ki wahshat hai
dauDta hun idhar-udhar kaise
be-qarari hai chun-ki wahshat hai
kaTti hai ye jhonpDi mujh ko
us ki jaanib chalun ki wahshat hai
ye mera iztirab hai kya hai
hai ye haal-e-zabun ki wahshat hai
hai ye koi fusun ki wahshat hai
kuchh pareshan hun ki wahshat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.