kya milun us se jo mujhko dekh kar lahja sajae
kyā milūñ us se jo mujh ko dekh kar lahja sajā.e
aisī nā-qadrī pe tuf jo ḳhuun ke aañsū rulā.e
mere lahje kī latāfat par ḳhafā to hai magar
jang jū alfāz se tere ḳhudā mujh ko sajā.e
zindagānī kī sazā us sar-phire se pūchhiye
dev-sūrat sar pe phirtā hai jo bār-e-ġham uThā.e
haa.e vo muflis javānī jo sisaktī hī rahe
haa.e vo kaisī tamanna umr bhar jo bar na aa.e
dekh kar insāñ kī pastī daur-e-hāzir meñ 'kamāl'
haath rakh kar siine par ham kar rahe haiñ haa.e haa.e
kya milun us se jo mujh ko dekh kar lahja sajae
aisi na-qadri pe tuf jo KHun ke aansu rulae
mere lahje ki latafat par KHafa to hai magar
jang ju alfaz se tere KHuda mujh ko sajae
zindagani ki saza us sar-phire se puchhiye
dew-surat sar pe phirta hai jo bar-e-gham uThae
hae wo muflis jawani jo sisakti hi rahe
hae wo kaisi tamanna umr bhar jo bar na aae
dekh kar insan ki pasti daur-e-hazir mein 'kamal'
hath rakh kar sine par hum kar rahe hain hae hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.