Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya muqaddar hai Thahre pani ka

Mohammad Haneef Katib

kya muqaddar hai Thahre pani ka

Mohammad Haneef Katib

MORE BYMohammad Haneef Katib

    kyā muqaddar hai Thahre paanī

    hukm aatā nahīñ ravānī

    sā.at-e-sabz mamba.a-e-anvār

    koī unvāñ mirī kahānī

    koī patthar uchhāl kar dekho

    shor hogā to hogā paanī

    shor kartā vajūd-e-fānī meñ

    ek sannāTā lā-makānī

    mahl thā ek do the shahzāde

    ek raaja ek raanī

    sāhiloñ sāhiloñ guzar jaa.eñ

    koī mausam to ho ravānī

    bazm-e-sūrat-garāñ meñ charchā thā

    ek tasvīr-e-rā.egānī

    neza neza ubhar ke dekh liyā

    ek dhokā thā kāmrānī

    sāhiloñ par bachā nahīñ kuchh bhī

    bas nishāñ rah gayā hai paanī

    kya muqaddar hai Thahre pani ka

    hukm aata nahin rawani ka

    saat-e-sabz mamba-e-anwar

    koi unwan meri kahani ka

    koi patthar uchhaal kar dekho

    shor hoga to hoga pani ka

    shor karta wajud-e-fani mein

    ek sannaTa la-makani ka

    mahl tha ek do the shahzade

    ek raja ka ek rani ka

    sahilon sahilon guzar jaen

    koi mausam to ho rawani ka

    bazm-e-surat-garan mein charcha tha

    ek taswir-e-raegani ka

    neza neza ubhar ke dekh liya

    ek dhoka tha kaamrani ka

    sahilon par bacha nahin kuchh bhi

    bas nishan rah gaya hai pani ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now