kya muqaddar mein hai KHuda jaane
kyā muqaddar meñ hai ḳhudā jaane
niiñd meñ chal rahe haiñ dīvāne
san.ateñ shahr meñ ujāḌeñgī
gaañv to kar diye haiñ vīrāne
maiñ ne sach bolne kī Thānī hai
koī aa.e na mujh ko samjhāne
merī āñkhoñ meñ ye namī kaisī
kaun royā hai mere sirhāne
zarf avval hai 'ishq meñ 'mansūr'
ungliyāñ kaaT liiñ zuleḳhā ne
kya muqaddar mein hai KHuda jaane
nind mein chal rahe hain diwane
sanaten shahr mein ujaDengi
ganw to kar diye hain virane
main ne sach bolne ki Thani hai
koi aae na mujh ko samjhane
meri aankhon mein ye nami kaisi
kaun roya hai mere sirhane
zarf awwal hai 'ishq mein 'mansur'
ungliyan kaT lin zuleKHa ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.