kya nahin muqaddar mein kya likha nahin malum
kyā nahīñ muqaddar meñ kyā likhā nahīñ ma.alūm
āsmān chal jaa.e chaal kyā nahīñ ma.alūm
ham ne ek patthar ko dhaḌkaneñ atā kī haiñ
dekhte haiñ bantā hai kab ḳhudā nahīñ ma.alūm
haq kī baat kī ham ne kyā burā kiyā logo
kyoñ mizāj barham hai aap kā nahīñ ma.alūm
apne paas rahne de apnī jhūTī hamdardī
hāl-e-dil sunā.ūñ kyā tujh ko jā nahīñ ma.alūm
yā-ḳhudā bharam rakhnā merī be-navā.ī kā
tū diloñ se vāqif hai tujh ko kyā nahīñ ma.alūm
tinkā tinkā kar Daalā mere āshiyāne kā
kis taraf ko chaltī hai ab havā nahīñ ma.alūm
aaj mere dil meñ hai kal kahīñ pe hogī aur
kal Thikāna kyā hogā aas kā nahīñ ma.alūm
ham qarīb aa.e haiñ kitnī muddatoñ ke baa'd
duur phir kare lamha kaun sā nahīñ ma.alūm
kajravī meñ ham 'hasrat' haq ko bhuul baiThe haiñ
kis ko bebasī meñ deñ ab sadā nahīñ ma.alūm
kya nahin muqaddar mein kya likha nahin malum
aasman chal jae chaal kya nahin malum
hum ne ek patthar ko dhaDkanen ata ki hain
dekhte hain banta hai kab KHuda nahin malum
haq ki baat ki hum ne kya bura kiya logo
kyon mizaj barham hai aap ka nahin malum
apne pas rahne de apni jhuTi hamdardi
haal-e-dil sunaun kya tujh ko ja nahin malum
ya-KHuda bharam rakhna meri be-nawai ka
tu dilon se waqif hai tujh ko kya nahin malum
tinka tinka kar Dala mere aashiyane ka
kis taraf ko chalti hai ab hawa nahin malum
aaj mere dil mein hai kal kahin pe hogi aur
kal Thikana kya hoga aas ka nahin malum
hum qarib aae hain kitni muddaton ke ba'd
dur phir kare lamha kaun sa nahin malum
kajrawi mein hum 'hasrat' haq ko bhul baiThe hain
kis ko bebasi mein den ab sada nahin malum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.