Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya nawa-e-abas ai ghuncha-dahan karte hain

Meer Ali Ausat Rashk

kya nawa-e-abas ai ghuncha-dahan karte hain

Meer Ali Ausat Rashk

MORE BYMeer Ali Ausat Rashk

    kyā navā-e-abas ai ġhuncha-dahan karte haiñ

    baaġh meñ terī sifat murġh-e-chaman karte haiñ

    guftugū bazm-e-jahāñ meñ hai tirī bātoñ

    zikr terā tamām ahl-e-suḳhan karte haiñ

    tujh ko le jaa.eñ chaman meñ to bigaḌ jaa.e havā

    ham faqat ḳhātir-e-murġhān-e-chaman karte haiñ

    jism-e-ḳhākī meñ mirī ruuh yahī kartī hai

    qafas-e-tang meñ jo murġh-e-chaman karte haiñ

    sarv-qad ġhuncha-dahan sumbul-o-gul gesū-o-ruḳh

    tujh ko kyā dekhte haiñ sair-e-chaman karte haiñ

    dekhne aate haiñ merā tan-e-pur-dāġh ai 'rashk'

    log juuhī meñ tamāshā-e-chaman karte haiñ

    kya nawa-e-abas ai ghuncha-dahan karte hain

    bagh mein teri sifat murgh-e-chaman karte hain

    guftugu bazm-e-jahan mein hai teri baaton ki

    zikr tera hi tamam ahl-e-suKHan karte hain

    tujh ko le jaen chaman mein to bigaD jae hawa

    hum faqat KHatir-e-murghan-e-chaman karte hain

    jism-e-KHaki mein meri ruh yahi karti hai

    qafas-e-tang mein jo murgh-e-chaman karte hain

    sarw-qad ghuncha-dahan sumbul-o-gul gesu-o-ruKH

    tujh ko kya dekhte hain sair-e-chaman karte hain

    dekhne aate hain mera tan-e-pur-dagh ai 'rashk'

    log juhi mein tamasha-e-chaman karte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now