kya past apne azm-e-safar ho ke rah gae
kyā past apne azm-e-safar ho ke rah ga.e
āñkhoñ meñ chuur ḳhvāb-e-sahar ho ke rah ga.e
vo sabza-e-sharār kā chashma ubal paḌā
bāġh-o-bahār zer-o-zabar ho ke rah ga.e
guzrā idhar se sho.ala-e-tūfān bhī nahīñ
lekin navāh-e-shahr khañDar ho ke rah ga.e
be-ḳhauf sang-reze chalāne lage haiñ log
ham kis makāñ ke shīsha-o-dar ho ke rah ga.e
mujh ko musavvirī kā bahut shauq thā magar
nākām mere dast-e-hunar ho ke rah ga.e
ham aa ga.e haiñ aise ujāloñ ke shahr meñ
zaa.e.a hamāre zauq-e-nazar ho ke rah ga.e
us aadmī ke haath meñ ā.īna thā ajab
chehre ke rang rang-e-digar ho ke rah ga.e
āñdhī uThī na barf kī bārish huī magar
qurbān be-libās shajar ho ke rah ga.e
kya past apne azm-e-safar ho ke rah gae
aankhon mein chur KHwab-e-sahar ho ke rah gae
wo sabza-e-sharar ka chashma ubal paDa
bagh-o-bahaar zer-o-zabar ho ke rah gae
guzra idhar se shoala-e-tufan bhi nahin
lekin nawah-e-shahr khanDar ho ke rah gae
be-KHauf sang-reze chalane lage hain log
hum kis makan ke shisha-o-dar ho ke rah gae
mujh ko musawwiri ka bahut shauq tha magar
nakaam mere dast-e-hunar ho ke rah gae
hum aa gae hain aise ujalon ke shahr mein
zaea hamare zauq-e-nazar ho ke rah gae
us aadmi ke hath mein aaina tha ajab
chehre ke rang rang-e-digar ho ke rah gae
aandhi uThi na barf ki barish hui magar
qurban be-libas shajar ho ke rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.