kya pata tha ek din hum be-hunar ho jaenge
kyā pata thā ek din ham be-hunar ho jā.eñge
ġham ke tūfāñ ham pe haavī is qadar ho jā.eñge
jo tasavvur meñ mire din-rāt karte haiñ tavāf
rab ne chāhā to vo mere ham-safar ho jā.eñge
mushkiloñ kā āfatoñ kā Dar nahīñ koī mujhe
marhale maañ kī du'āoñ se to sar ho jā.eñge
aaj ġham hai kal ḳhushī ke din bhī ā.eñge zarūr
mushkiloñ ke lamhe yuuñ to muḳhtasar ho jā.eñge
kāravā.ī jab karoge nek logoñ ke ḳhilāf
dekh lenā saare harbe be-asar ho jā.eñge
vo bahut hī ḳhush hue the chhoḌ kar tanhā hameñ
ye gumāñ thā un ko ab ham dar-ba-dar ho jā.eñge
aap kahte ho sikhā.eñ she'r ke un ko rumūz
vo agar chhā jā.eñge ham be-asar ho jā.eñge
shukr-e-rab kartā rahegā lamha-lamha 'arsalān'
aap qismat se kabhī mere agar ho jā.eñge
kya pata tha ek din hum be-hunar ho jaenge
gham ke tufan hum pe hawi is qadar ho jaenge
jo tasawwur mein mere din-raat karte hain tawaf
rab ne chaha to wo mere ham-safar ho jaenge
mushkilon ka aafaton ka Dar nahin koi mujhe
marhale man ki du'aon se to sar ho jaenge
aaj gham hai kal KHushi ke din bhi aaenge zarur
mushkilon ke lamhe yun to muKHtasar ho jaenge
karawai jab karoge nek logon ke KHilaf
dekh lena sare harbe be-asar ho jaenge
wo bahut hi KHush hue the chhoD kar tanha hamein
ye guman tha un ko ab hum dar-ba-dar ho jaenge
aap kahte ho sikhaen she'r ke un ko rumuz
wo agar chha jaenge hum be-asar ho jaenge
shukr-e-rab karta rahega lamha-lamha 'arsalan'
aap qismat se kabhi mere agar ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.