kya pata kya soch kar Darne laga
kyā patā kyā soch kar Darne lagā
vo achānak hāo-hū karne lagā
is liye maiñ ho gayā tum se alag
khokhle rishtoñ se jī bharne lagā
vo qayāmat kī ghaḌī thī vasl meñ
husn jab ghāyal mujhe karne lagā
ab darindoñ ko mubārakbād do
aadmī se aadmī Darne lagā
vaqt kar degā use bhī rā.egāñ
vaqt ko jo rā.egāñ karne lagā
ek chehra dekhtā huuñ ḳhvāb meñ
ek ḳhvāhish par ye dil marne lagā
kya pata kya soch kar Darne laga
wo achanak hao-hu karne laga
is liye main ho gaya tum se alag
khokhle rishton se ji bharne laga
wo qayamat ki ghaDi thi wasl mein
husn jab ghayal mujhe karne laga
ab darindon ko mubarakbaad do
aadmi se aadmi Darne laga
waqt kar dega use bhi raegan
waqt ko jo raegan karne laga
ek chehra dekhta hun KHwab mein
ek KHwahish par ye dil marne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.