kya phir koi taqrib-e-mulaqat na hogi
kyā phir koī taqrīb-e-mulāqāt na hogī
kyā yūñhī chale jāoge kuchh baat na hogī
kyā tā-ba-qayāmat yuuñ sulagte hī raheñge
is zulm-e-musalsal kī mukāfāt na hogī
ab ālam-e-hairat meñ guzar jā.eñgī umreñ
ab din kā to kyā zikr kabhī raat na hogī
le jaao ye dil bhī ki amānat hai tumhārī
de jaao agar daaġh baḌī baat na hogī
ye ziist tire hijr meñ ai jān-e-tamannā
kyā hogī agar manzil-e-āfāt na hogī
ab dil pe jo guzregī faqat dil meñ rahegī
ab rasm-o-rah-e-shukr-o-shikāyāt na hogī
ehsās pe ik ġham kī ghaTā chhā.ī huī hai
ab kaun sā mausam hai ki barsāt na hogī
kya phir koi taqrib-e-mulaqat na hogi
kya yunhi chale jaoge kuchh baat na hogi
kya ta-ba-qayamat yun sulagte hi rahenge
is zulm-e-musalsal ki mukafat na hogi
ab aalam-e-hairat mein guzar jaengi umren
ab din ka to kya zikr kabhi raat na hogi
le jao ye dil bhi ki amanat hai tumhaari
de jao agar dagh baDi baat na hogi
ye zist tere hijr mein ai jaan-e-tamanna
kya hogi agar manzil-e-afat na hogi
ab dil pe jo guzregi faqat dil mein rahegi
ab rasm-o-rah-e-shukr-o-shikayat na hogi
ehsas pe ek gham ki ghaTa chhai hui hai
ab kaun sa mausam hai ki barsat na hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.