kya puchhte ho haal-e-dil-e-be-qarar aaj
kyā pūchhte ho hāl-e-dil-e-be-qarār aaj
jo kal thī hai vo gardish-e-lail-o-nahār aaj
us paikar-e-jafā ko na kos ai dil-e-hazīñ
terī tarah hai vo bhī bahut be-qarār aaj
mere hī dam se rah gayā mai-ḳhāne meñ bharam
varna janāb-e-shaiḳh ko miltā udhār aaj
us ne likhā hai bahr-ayādat kal ā.eñge
jiine bhī degā mujh ko dil-e-be-qarār aaj
kis mast kī duā huī maqbūl-e-bārgāh
aayā hai jhuum jhuum ke abr-e-bahār aaj
mere liye kahīñ bhī jahāñ meñ sukūñ nahīñ
le kar kahāñ chalā hai dil-e-be-qarār aaj
us gul ne jaane kyā mire baare meñ kah diyā
guzrī hai mujh se kaT ke nasīm-e-bahār aaj
ye faiz hai 'tabīb'-o-'qatīl' aur 'zār' kā
'āsī' jo shā.iroñ meñ hai terā shumār aaj
kya puchhte ho haal-e-dil-e-be-qarar aaj
jo kal thi hai wo gardish-e-lail-o-nahaar aaj
us paikar-e-jafa ko na kos ai dil-e-hazin
teri tarah hai wo bhi bahut be-qarar aaj
mere hi dam se rah gaya mai-KHane mein bharam
warna janab-e-shaiKH ko milta udhaar aaj
us ne likha hai bahr-ayaadat kal aaenge
jine bhi dega mujh ko dil-e-be-qarar aaj
kis mast ki dua hui maqbul-e-bargah
aaya hai jhum jhum ke abr-e-bahaar aaj
mere liye kahin bhi jahan mein sukun nahin
le kar kahan chala hai dil-e-be-qarar aaj
us gul ne jaane kya mere bare mein kah diya
guzri hai mujh se kaT ke nasim-e-bahaar aaj
ye faiz hai 'tabib'-o-'qatil' aur 'zar' ka
'asi' jo shairon mein hai tera shumar aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.