kya qayamat hai ki ayyari hi fankari hui
kyā qayāmat hai ki 'ayyārī hī fankārī huī
fitna-parvar qātiloñ ke naam sardārī huī
in dinoñ raa.ij huā hai ḳhuub tarz-e-munsifī
ḳhūñ-bahā thā jis kā haq us kī giraftārī huī
is liye ham se ḳhafā hai maslahat-koshoñ kī bhiiḌ
shahryāroñ kī na ham se nāz-bardārī huī
chand lamhe kyā tirī palkoñ ke saa.e meñ chale
phir kabhī sho'loñ pe chalne meñ na dushvārī huī
is haqīqat par kabhī tārīḳh ro.egī bahut
vaj.h merī haar kī apnoñ kī ġhaddārī huī
ai mire logo na jaane kuuch kab karnā paḌe
kyā kabhī sochā safar kī kitnī tayyārī huī
justujū-e-manzil-e-tābāñ ho she'roñ meñ 'na'īm'
kyā maza gar dil pe bujhne kī fazā taarī huī
kya qayamat hai ki 'ayyari hi fankari hui
fitna-parwar qatilon ke nam sardari hui
in dinon raij hua hai KHub tarz-e-munsifi
KHun-baha tha jis ka haq us ki giraftari hui
is liye hum se KHafa hai maslahat-koshon ki bhiD
shahryaron ki na hum se naz-bardari hui
chand lamhe kya teri palkon ke sae mein chale
phir kabhi sho'lon pe chalne mein na dushwari hui
is haqiqat par kabhi tariKH roegi bahut
wajh meri haar ki apnon ki ghaddari hui
ai mere logo na jaane kuch kab karna paDe
kya kabhi socha safar ki kitni tayyari hui
justuju-e-manzil-e-taban ho she'ron mein 'na'im'
kya maza gar dil pe bujhne ki faza tari hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.