kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag
kyā rafū ho zindagī sozan judā dhāge alag
ḳhvāhish-e-dil ālam-e-imkān se laage alag
soch ye bhī tū kabhī ai juzv-e-takmīl-e-vajūd
jism ho kyā mo'atabar saaya jahāñ laage alag
kār-e-lā-hāsil nahīñ thī vaqt kī baḳhiya-garī
par zamāna kar rahā hai zaḳhm se dhāge alag
manzil-e-hastī talak to saath ke imkān the
yuuñ bhī ho jaanā thā jā kar ik zarā aage alag
shauq-e-zebā.ish meñ ham ko fikr le aa.ī jahāñ
ḳhaak kā putlā jamāl-e-ḳhāk se laage alag
kyā yahī hai aañkh kī vaadī meñ basne kā samar
do parinde umr bhar taḌpe alag jaage alag
ḳhāliq-e-husn-e-taḳhayyul huuñ Thikāna hai mirā
ālam-e-sat.h-e-nazāra se zarā aage alag
kya rafu ho zindagi sozan juda dhage alag
KHwahish-e-dil aalam-e-imkan se lage alag
soch ye bhi tu kabhi ai juzw-e-takmil-e-wajud
jism ho kya mo'atabar saya jahan lage alag
kar-e-la-hasil nahin thi waqt ki baKHiya-gari
par zamana kar raha hai zaKHm se dhage alag
manzil-e-hasti talak to sath ke imkan the
yun bhi ho jaana tha ja kar ek zara aage alag
shauq-e-zebaish mein hum ko fikr le aai jahan
KHak ka putla jamal-e-KHak se lage alag
kya yahi hai aankh ki wadi mein basne ka samar
do parinde umr bhar taDpe alag jage alag
KHaliq-e-husn-e-taKHayyul hun Thikana hai mera
aalam-e-sath-e-nazara se zara aage alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.