kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
MORE BYGulam Yahya Huzur Azimabadi
kyā rafū karne lagā hai jā bhī nādāñ yak taraf
phaT chalī chhātī koī dam meñ garebāñ yak taraf
chāñdnī meñ kal nikal baiThā thā vo ḳhurshīd-rū
dekhtā thā maiñ khaḌā goshe meñ pinhāñ yak taraf
turfa hālat thī kabhī ham ne na dekhā thā 'huzūr'
māh-e-tābāñ yak taraf mehr-e-daraḳhshāñ yak taraf
kya rafu karne laga hai ja bhi nadan yak taraf
phaT chali chhati koi dam mein gareban yak taraf
chandni mein kal nikal baiTha tha wo KHurshid-ru
dekhta tha main khaDa goshe mein pinhan yak taraf
turfa haalat thi kabhi hum ne na dekha tha 'huzur'
mah-e-taban yak taraf mehr-e-daraKHshan yak taraf
- Dewan-e-Huzoor (E-Book)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.