kya sach mein itne achchhe ho
kyā sach meñ itne achchhe ho
yā bāteñ achchhī karte ho
mujh ko bhī zid hai maiñ dekhūñ
tum kaise ġhussa karte ho
aañsū kaise ab Thahreñge
in āñkhoñ meñ tum Thahre ho
duniyā bhī vaise pyārī hai
tum mujh ko behad pyāre ho
ik konā is meñ merā hai
ghar vo jis meñ tum rahte ho
sab rāheñ āsāñ hai jaanā
mushkil to tum hī lagte ho
ik din maiñ sun lūñgī vo bhī
ḳhud se jo bāteñ karte ho
kya sach mein itne achchhe ho
ya baaten achchhi karte ho
mujh ko bhi zid hai main dekhun
tum kaise ghussa karte ho
aansu kaise ab Thahrenge
in aankhon mein tum Thahre ho
duniya bhi waise pyari hai
tum mujh ko behad pyare ho
ek kona is mein mera hai
ghar wo jis mein tum rahte ho
sab rahen aasan hai jaana
mushkil to tum hi lagte ho
ek din main sun lungi wo bhi
KHud se jo baaten karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.