kya se kya aaKHir junun-e-fitna saman ban gaya
kyā se kyā āḳhir junūn-e-fitna sāmāñ ban gayā
barq-o-tūfāñ ban gayā bāġh-o-bahārāñ ban gayā
kal talak jis ḳhvāb kī ta.abīr raqs-o-rañg thī
ab vo ḳhvāb-e-zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ ban gayā
chal rahī thī saañs jab tak raaz andar raaz thā
aur jab tār-e-nafas TuuTā to tūfāñ ban gayā
ḳhūn-e-dil kā ek qatra ek harf-e-nā-tamām
paḌhne vāloñ ke liye tārīḳh-e-daurāñ ban gayā
baḌh ga.ī jab apnī had se jur.at-e-āvārgī
ḳhud junūñ minnat-kash-e-chāk-e-garebāñ ban gayā
duur ras bhī kis qadar thī jalne vaale kī nazar
baḌhte baḌhte dāġh-e-dil āḳhir charāġhāñ ban gayā
baat un kī rah ga.ī saarā gila bhī dhul gayā
sāmne jab aa ga.e vo maiñ pashemāñ ban gayā
zindagī āsān bhī thī aur thī dushvār bhī
dil ba-qadr-e-zarf 'rāmish' jalva-sāmāñ ban gayā
kya se kya aaKHir junun-e-fitna saman ban gaya
barq-o-tufan ban gaya bagh-o-bahaaran ban gaya
kal talak jis KHwab ki tabir raqs-o-rang thi
ab wo KHwab-e-zindagi KHwab-e-pareshan ban gaya
chal rahi thi sans jab tak raaz andar raaz tha
aur jab tar-e-nafas TuTa to tufan ban gaya
KHun-e-dil ka ek qatra ek harf-e-na-tamam
paDhne walon ke liye tariKH-e-dauran ban gaya
baDh gai jab apni had se jurat-e-awargi
KHud junun minnat-kash-e-chaak-e-gareban ban gaya
dur ras bhi kis qadar thi jalne wale ki nazar
baDhte baDhte dagh-e-dil aaKHir charaghan ban gaya
baat un ki rah gai sara gila bhi dhul gaya
samne jab aa gae wo main pasheman ban gaya
zindagi aasan bhi thi aur thi dushwar bhi
dil ba-qadr-e-zarf 'ramish' jalwa-saman ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.