kya shab thi ki dil khol ke ro bhi na sake hum
kyā shab thī ki dil khol ke ro bhī na sake ham
jaage bhī nahīñ Thiik se so bhī na sake ham
us ḳhaak se kyā ham ko gila dar-badarī kā
jis ḳhaak ke jī jaan se ho bhī na sake ham
kyā kisht-e-shab-e-hijr harī ho ki yahāñ to
ik buuñd lahū-rañg kī bo bhī na sake ham
gard-e-ġham-e-ayyām se ālūda thiiñ āñkheñ
dīd-e-gul-e-ruḳhsār se dho bhī na sake ham
kya shab thi ki dil khol ke ro bhi na sake hum
jage bhi nahin Thik se so bhi na sake hum
us KHak se kya hum ko gila dar-badari ka
jis KHak ke ji jaan se ho bhi na sake hum
kya kisht-e-shab-e-hijr hari ho ki yahan to
ek bund lahu-rang ki bo bhi na sake hum
gard-e-gham-e-ayyam se aaluda thin aankhen
did-e-gul-e-ruKHsar se dho bhi na sake hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.