kya shahr-e-nau se mausam-e-saffak kam hue
kyā shahr-e-nau se mausam-e-saffāk kam hue
achchhā huā ki kuchh ḳhas-o-ḳhāshāk kam hue
har lamha siina taane khaḌe rāste meñ haiñ
mere safar ke ḳhaar bhī kyā ḳhaak kam hue
har aadmī to aaj zahīn-o-fatīn hai
daur-e-jadīd meñ kahāñ chālāk kam hue
ye jānñe kī aaj bhī koshish kisī ne kī
kyoñ falsafī ke paas bhī idrāk kam hue
shām-o-sahar to ik hī fazā kartī hai tavāf
āñkhoñ se kab nazāra-e-ġhamnāk kam hue
ab bhī rivāj-o-rasm vahī haiñ magar kahāñ
uryāniyat ke parda-e-poshāk kam hue
'ātish' yahī bahār kī sauġhāt kam nahīñ
is bār-e-gul ke dāman-e-sad-chāk kam hue
kya shahr-e-nau se mausam-e-saffak kam hue
achchha hua ki kuchh KHas-o-KHashak kam hue
har lamha sina tane khaDe raste mein hain
mere safar ke KHar bhi kya KHak kam hue
har aadmi to aaj zahin-o-fatin hai
daur-e-jadid mein kahan chaalak kam hue
ye jaanne ki aaj bhi koshish kisi ne ki
kyon falsafi ke pas bhi idrak kam hue
sham-o-sahar to ek hi faza karti hai tawaf
aankhon se kab nazara-e-ghamnak kam hue
ab bhi riwaj-o-rasm wahi hain magar kahan
uryaniyat ke parda-e-poshak kam hue
'atish' yahi bahaar ki saughat kam nahin
is bar-e-gul ke daman-e-sad-chaak kam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.