kya shikwa karen tohmat-e-be-baal-o-pari ka
kyā shikva kareñ tohmat-e-be-bāl-o-parī kā
har din hai shab-e-zulf kī bedād-garī kā
rahne do abhī baam pe khultī huī āñkheñ
manzar ye mire sāmne hai ḳhush-nazarī kā
ik haath bulāve ke liye rauzan-e-jāñ meñ
ik haath alāmat hai kisī sabz-parī kā
ehsās-e-peshemānī-e-ahbāb na pūchho
har ek ko yaañ ġham hai faqat be-hunarī kā
dīvār-o-dar-o-saqf-o-sutūñ farsh-o-darīcha
rishta kisī ghar se nahīñ hotā safarī kā
bastī mire ahbāb se ḳhālī hai abhī tak
saaya hai mirī jaañ pe faqat bad-nazarī kā
jaadū hai tire jism ke har pech meñ ḳham meñ
nashsha hai rag-o-pai meñ bhī shorīda-sarī kā
chalte rahe tujh tak hī pahuñchne ke liye sab
sab rañg uḌā jaatā hai nādīda-varī kā
in rozoñ hai badlī huī ye tab.a hamārī
ab ḳhushk rahā kartā hai mausam bhī tarī kā
ham kab sar-o-sāmān-e-suḳhan se rahe ḳhālī
ik umr se ye shaġhl rahā dard-sarī kā
kya shikwa karen tohmat-e-be-baal-o-pari ka
har din hai shab-e-zulf ki bedad-gari ka
rahne do abhi baam pe khulti hui aankhen
manzar ye mere samne hai KHush-nazari ka
ek hath bulawe ke liye rauzan-e-jaan mein
ek hath alamat hai kisi sabz-pari ka
ehsas-e-peshemani-e-ahbab na puchho
har ek ko yan gham hai faqat be-hunari ka
diwar-o-dar-o-saqf-o-sutun farsh-o-daricha
rishta kisi ghar se nahin hota safari ka
basti mere ahbab se KHali hai abhi tak
saya hai meri jaan pe faqat bad-nazari ka
jadu hai tere jism ke har pech mein KHam mein
nashsha hai rag-o-pai mein bhi shorida-sari ka
chalte rahe tujh tak hi pahunchne ke liye sab
sab rang uDa jata hai nadida-wari ka
in rozon hai badli hui ye taba hamari
ab KHushk raha karta hai mausam bhi tari ka
hum kab sar-o-saman-e-suKHan se rahe KHali
ek umr se ye shaghl raha dard-sari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.