kya subh se gharaz meri kya sham se gharaz
kya subh se gharaz meri kya sham se gharaz
Mirza Shariq Laharpuri
MORE BYMirza Shariq Laharpuri
kyā sub.h se ġharaz mirī kyā shaam se ġharaz
ai ḳhush-adā hai mujh ko tire kaam se ġharaz
ik bandagī ke shahr ke masrūf-e-kār ko
tārīf se ġharaz hai na dushnām se ġharaz
ai irtiqā-mizāj tujhe aisā kyā huā
vābasta ho ga.ī tirī auhām se ġharaz
maiñ to musāfir-e-rah-e-ālī-nasīb huuñ
asbāb ke liye mujhe har kaam se ġharaz
bas itnā jaan lījiye sachchā.ī ke tufail
shā.ir huuñ kuchh to hai mujhe ib.hām se ġharaz
jo mast-e-shād-kām ho fikroñ ke darmiyāñ
us ke laboñ ko kyoñ ho mai-o-jām se ġharaz
'shāriq' mulāzmat kā hai ye āḳhirī paḌāv
kyoñ ho ab iḳhtilāf ke hañgām se ġharaz
kya subh se gharaz meri kya sham se gharaz
ai KHush-ada hai mujh ko tere kaam se gharaz
ek bandagi ke shahr ke masruf-e-kar ko
tarif se gharaz hai na dushnam se gharaz
ai irtiqa-mizaj tujhe aisa kya hua
wabasta ho gai teri auham se gharaz
main to musafir-e-rah-e-ali-nasib hun
asbab ke liye mujhe har kaam se gharaz
bas itna jaan lijiye sachchai ke tufail
shair hun kuchh to hai mujhe ibham se gharaz
jo mast-e-shad-kaam ho fikron ke darmiyan
us ke labon ko kyon ho mai-o-jam se gharaz
'shaariq' mulazmat ka hai ye aaKHiri paDaw
kyon ho ab iKHtilaf ke hangam se gharaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.