kya sunaen tumhein koi taza ghazal
kyā sunā.eñ tumheñ koī taaza ġhazal
sher hairat-zada ābdīda ġhazal
tum ko logo abhī bhāñgḌa chāhiye
dard kī zindagī kā tarāna ġhazal
vaqt barbād karte rahe is tarah
ham sunāte rahe sab ko taaza ġhazal
tarjumān-e-shikasta-dilī thī magar
mahfiloñ meñ chalī vo shikasta ġhazal
aadmī ko kabhī bhuul saktī nahīñ
zindagī se nibhātī hai rishta ġhazal
har ghaḌī chheḌnā bhī munāsib nahīñ
ban ga.ī zindagī meñ tarāshā ġhazal
anvar-e-be-zabāñ aaj iqrār kar
raat phir ho ga.ī be-irāda ġhazal
kya sunaen tumhein koi taza ghazal
sher hairat-zada aabdida ghazal
tum ko logo abhi bhangDa chahiye
dard ki zindagi ka tarana ghazal
waqt barbaad karte rahe is tarah
hum sunate rahe sab ko taza ghazal
tarjuman-e-shikasta-dili thi magar
mahfilon mein chali wo shikasta ghazal
aadmi ko kabhi bhul sakti nahin
zindagi se nibhati hai rishta ghazal
har ghaDi chheDna bhi munasib nahin
ban gai zindagi mein tarasha ghazal
anwar-e-be-zaban aaj iqrar kar
raat phir ho gai be-irada ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.