kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tumko
kyā sunā.ūñ dil-e-muztar kā fasāna tum ko
maiñ ne chāhā thā kabhī ek zamāna tum ko
ye jo tum 'iid pe bhī aate nahīñ lauT ke ghar
koī chhuTTī kā nahīñ hotā bahāna tum ko
bistar-e-marg pe maañ thī to na the sāmne tum
bahut hī mahñgā paḌā hai chale jaanā tum ko
gaañv ke kachche makānoñ meñ ye pakke rishte
raas aa.egā nahīñ shahr kā khānā tum ko
har mahīne ye na.e note ye ḳhat kyā matlab
na manāo nahīñ aatā hai manānā tum ko
ek kamra hai kirā.e kā ye bāzārī ġhizā
shahr meñ kaise mile shāhī Thikāna tum ko
āḳhirī ḳhat ko paḌho us meñ milegā 'māham'
bhuul jaane kā use koī bahāna tum ko
kya sunaun dil-e-muztar ka fasana tum ko
main ne chaha tha kabhi ek zamana tum ko
ye jo tum 'id pe bhi aate nahin lauT ke ghar
koi chhuTTi ka nahin hota bahana tum ko
bistar-e-marg pe man thi to na the samne tum
bahut hi mahnga paDa hai chale jaana tum ko
ganw ke kachche makanon mein ye pakke rishte
ras aaega nahin shahr ka khana tum ko
har mahine ye nae note ye KHat kya matlab
na manao nahin aata hai manana tum ko
ek kamra hai kirae ka ye bazari ghiza
shahr mein kaise mile shahi Thikana tum ko
aaKHiri KHat ko paDho us mein milega 'maham'
bhul jaane ka use koi bahana tum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.