kya sunte ho rahne bhi do fariyaad hamari
kyā sunte ho rahne bhī do fariyād hamārī
ḳhuuñ tum ko rulā.egī ye rūdād hamārī
sau sau ne pachhāḌā hai hazāroñ ko bhī aksar
hārij nahīñ hotī kabhī ta.adād hamārī
ham chāl-chalan Thiik hī rakhte to haiñ lekin
ghaTtī nahīñ is qaid kī mī.ād hamārī
roTī ke liye kaaTī haiñ sang-lāḳh zamīneñ
tauqīr na kar pā.egā farhād hamārī
kyā baat hai is meñ koī insāñ nahīñ miltā
vaise to hai bastī baḌī ābād hamārī
ham log to har ek se māñgā nahīñ karte
allāh kiyā kartā hai imdād hamārī
allāh kare aisā bhī bebas na ho koī
gardan na uḌā paa.e hai jallād hamārī
kya sunte ho rahne bhi do fariyaad hamari
KHun tum ko rulaegi ye rudad hamari
sau sau ne pachhaDa hai hazaron ko bhi aksar
haarij nahin hoti kabhi tadad hamari
hum chaal-chalan Thik hi rakhte to hain lekin
ghaTti nahin is qaid ki miad hamari
roTi ke liye kaTi hain sang-laKH zaminen
tauqir na kar paega farhad hamari
kya baat hai is mein koi insan nahin milta
waise to hai basti baDi aabaad hamari
hum log to har ek se manga nahin karte
allah kiya karta hai imdad hamari
allah kare aisa bhi bebas na ho koi
gardan na uDa pae hai jallad hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.