kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna
kyā tarah hai āshnā gāhe-gahe nā-āshnā
yā to begāne hī rahiye hojiye yā āshnā
pā.emāl-e-sad-jafā nā-haq na ho ai andalīb
sabza-e-begāna bhī thā is chaman kā āshnā
kaun se ye bahr-e-ḳhūbī kī pareshāñ zulf hai
aatī hai āñkhoñ meñ merī mauj dariyā-āshnā
ronā hī aatā hai ham ko dil huā jab se judā
jaa.e rone hī kī hai jaave jab aisā āshnā
nā-samajh hai to jo merī qadr na.iiñ kartā ki shoḳh
kam bahut miltā hai phir dil-ḳhvāh itnā āshnā
bulbuleñ pā.īz meñ kahtī thiiñ hotā kāshke
yak mizha rang farārī is chaman kā āshnā
ko gul-o-lāla kahāñ sumbul saman ham-nastaran
ḳhaak se yaksāñ hue haiñ haa.e kyā kyā āshnā
kyā karūñ kis se kahūñ itnā hī begāna hai yaar
saare 'ālam meñ nahīñ paate kisī kā āshnā
jis se maiñ chāhī visātat un ne ye mujh se kahā
ham to kahte gar miyāñ ham se vo hotā āshnā
yuuñ sunā jā hai ki kartā hai safar kā azm-jazm
saath ab begāna vaz.aoñ ke hamārā āshnā
she'r 'sā.ib' kā munāsib hai hamārī or se
sāmne us ke paḌhe gar ye koī jā āshnā
tā-ba-jāñ mā ham-rahīm va tā-ba-manzil dīgarāñ
farq bāshad jān-e-mā az-āshnā tā-āshnā
daaġh hai tābāñ alaihir-rahma kā chhātī pe 'mīr'
ho najāt us ko bechāra ham se bhī thā āshnā
kya tarah hai aashna gahe-gahe na-ashna
ya to begane hi rahiye hojiye ya aashna
paemal-e-sad-jafa na-haq na ho ai andalib
sabza-e-begana bhi tha is chaman ka aashna
kaun se ye bahr-e-KHubi ki pareshan zulf hai
aati hai aankhon mein meri mauj dariya-ashna
rona hi aata hai hum ko dil hua jab se juda
jae rone hi ki hai jawe jab aisa aashna
na-samajh hai to jo meri qadr nain karta ki shoKH
kam bahut milta hai phir dil-KHwah itna aashna
bulbulen paiz mein kahti thin hota kashke
yak mizha rang farari is chaman ka aashna
ko gul-o-lala kahan sumbul saman ham-nastaran
KHak se yaksan hue hain hae kya kya aashna
kya karun kis se kahun itna hi begana hai yar
sare 'alam mein nahin pate kisi ka aashna
jis se main chahi wisatat un ne ye mujh se kaha
hum to kahte gar miyan hum se wo hota aashna
yun suna ja hai ki karta hai safar ka azm-jazm
sath ab begana wazaon ke hamara aashna
she'r 'saib' ka munasib hai hamari or se
samne us ke paDhe gar ye koi ja aashna
ta-ba-jaan ma ham-rahim wa ta-ba-manzil digaran
farq bashad jaan-e-ma az-ashna ta-ashna
dagh hai taban alaihir-rahma ka chhati pe 'mir'
ho najat us ko bechaara hum se bhi tha aashna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0030
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.