kya taraqqi ke alam-bardar andhe ho gae
kyā taraqqī ke alam-bardār andhe ho ga.e
do ko bīnā.ī milī to chaar andhe ho ga.e
jin kā na.ara thā naqāb-e-ruḳh uThā jalva dikhā
jab nazar aaya jamāl-e-yār andhe ho ga.e
har sitam ke baad us ne muskurā kar baat kī
ye vufūr-e-shauq meñ har baar andhe ho ga.e
ḳhud-ġharaz haiñ ālim-o-vā.iz shikam-parvar haiñ piir
fauj kyā kartī sipah-sālār andhe ho ga.e
ġhair kī gardan meñ bāñheñ merī gardan par chhurī
aap ko kyā ho gayā sarkār andhe ho ga.e
kārvān-e-ilm-o-fan jaa.e na jaane kis taraf
aur mujh jaise agar do-chār andhe ho ga.e
kor-chashmī par hañsā koī to andāza huā
ham kisī ke ishq meñ be-kār andhe ho ga.e
ahl-e-kashtī kyā kareñ hai nā-ḳhudāoñ kā ye haal
aa ga.ī jab haath meñ patvār andhe ho ga.e
aap ko ash.ār meñ ḳhūbī nazar aatī nahīñ
merī ustādī se hai inkār andhe ho ga.e
kya taraqqi ke alam-bardar andhe ho gae
do ko binai mili to chaar andhe ho gae
jin ka nara tha naqab-e-ruKH uTha jalwa dikha
jab nazar aaya jamal-e-yar andhe ho gae
har sitam ke baad us ne muskura kar baat ki
ye wufur-e-shauq mein har bar andhe ho gae
KHud-gharaz hain aalim-o-waiz shikam-parwar hain pir
fauj kya karti sipah-salar andhe ho gae
ghair ki gardan mein banhen meri gardan par chhuri
aap ko kya ho gaya sarkar andhe ho gae
karwan-e-ilm-o-fan jae na jaane kis taraf
aur mujh jaise agar do-chaar andhe ho gae
kor-chashmi par hansa koi to andaza hua
hum kisi ke ishq mein be-kar andhe ho gae
ahl-e-kashti kya karen hai na-KHudaon ka ye haal
aa gai jab hath mein patwar andhe ho gae
aap ko ashaar mein KHubi nazar aati nahin
meri ustadi se hai inkar andhe ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.