kya tere dil mein ai but hon dil-o-jaan mahfuz
kya tere dil mein ai but hon dil-o-jaan mahfuz
Raja Naushad Ali Khan
MORE BYRaja Naushad Ali Khan
kyā tire dil meñ ai but hoñ dil-o-jāñ mahfūz
na koī diin hai mahfūz na īmāñ mahfūz
band darvāze bhī us ke liye khul jaate haiñ
maut ke vāste hai kaaḳh na aivāñ mahfūz
chashm-e-kāfir ne tirī kho diye sab ke īmān
kyā zamāne meñ rahe koī musalmāñ mahfūz
mausam-e-gul meñ qasam hai tujhe ai dast-e-junūñ
rahne paa.e na koī jaib-o-garebāñ mahfūz
ashk kyoñ mahfil-e-aġhyār meñ barbād kiye
tere motī na rahe dīda-e-giryāñ mahfūz
mausam-e-gul meñ ham ai bād-e-ḳhizāñ samjhe the
tere jhoñkoñ se rahegā na gulistāñ mahfūz
un ke dīvānoñ kī vahshat kā jo aalam hai yahī
rahne pā.egā na dāmān-e-bayābāñ mahfūz
de ga.ī bād-e-sabā ham se pareshānoñ ko
terī nig.hat na rahī gesū-e-jānāñ mahfūz
ham se dīvāne bhī aa.e haiñ ḳhudā ḳhair kare
ai qayāmat na rahegā tirā dāmāñ mahfūz
ai ḳhudā terī ḳhudā.ī meñ ye kyā kyā kartā
maut ke ḳhauf se hotā agar insāñ mahfūz
naam rah jā.egā 'naushād' jahāñ meñ kuchh din
baad mere jo rahegā mirā dīvāñ mahfūz
kya tere dil mein ai but hon dil-o-jaan mahfuz
na koi din hai mahfuz na iman mahfuz
band darwaze bhi us ke liye khul jate hain
maut ke waste hai kaKH na aiwan mahfuz
chashm-e-kafir ne teri kho diye sab ke iman
kya zamane mein rahe koi musalman mahfuz
mausam-e-gul mein qasam hai tujhe ai dast-e-junun
rahne pae na koi jaib-o-gareban mahfuz
ashk kyon mahfil-e-aghyar mein barbaad kiye
tere moti na rahe dida-e-giryan mahfuz
mausam-e-gul mein hum ai baad-e-KHizan samjhe the
tere jhonkon se rahega na gulistan mahfuz
un ke diwanon ki wahshat ka jo aalam hai yahi
rahne paega na daman-e-bayaban mahfuz
de gai baad-e-saba hum se pareshanon ko
teri nighat na rahi gesu-e-jaanan mahfuz
hum se diwane bhi aae hain KHuda KHair kare
ai qayamat na rahega tera daman mahfuz
ai KHuda teri KHudai mein ye kya kya karta
maut ke KHauf se hota agar insan mahfuz
nam rah jaega 'naushad' jahan mein kuchh din
baad mere jo rahega mera diwan mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.