kyā tum bhī tarīqa nayā ījād karo ho
ḳhud apnā banā kar mujhe barbād karo ho
rakkho ho har ik baar fasāne ko adhūrā
kab apne sitam shāmil-e-rūdād karo ho
lagtā nahīñ dilchasp jo shīrīñ kā fasāna
kyuuñ zikr-e-vafā koshī-e-farhād karo ho
pal bhar ko tumheñ ham se bhulāyā nahīñ jaatā
bhūle se kabhī tum bhī hameñ yaad karo ho
dekho ho kabhī aa ke ye vīrāni-e-dil bhī
āñkheñ mirī ḳhvāboñ se jo ābād karo ho
kya tum bhi tariqa naya ijad karo ho
KHud apna bana kar mujhe barbaad karo ho
rakkho ho har ek bar fasane ko adhura
kab apne sitam shamil-e-rudad karo ho
lagta nahin dilchasp jo shirin ka fasana
kyun zikr-e-wafa koshi-e-farhad karo ho
pal bhar ko tumhein hum se bhulaya nahin jata
bhule se kabhi tum bhi hamein yaad karo ho
dekho ho kabhi aa ke ye virani-e-dil bhi
aankhen meri KHwabon se jo aabaad karo ho
Source :
- Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 119)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.