kya tumne bhi hai kal ratjaga kiya
kyā tum ne bhī hai kal ratjagā kiyā
tumheñ bhī ishq ham se ho gayā kyā
mirā tū mudda.ā tū mas.ala thī
bichhātā gar tujhe to oḌhtā kyā
yahāñ jis ko bhī dekho zo.am meñ hai
hamāre shahr ko āḳhir huā kyā
mire atrāf meñ terī sadā thī
tujhe dair-o-haram meñ DhūñDhtā kyā
hai tere zehn meñ tark-e-ta.alluq
tujhe phir ham sā koī mil gayā kyā
bhaTaknā jab merī qismat meñ shāmil
pata sahrāoñ kā phir pūchhnā kyā
maiñ us ke saath uḌtā jā rahā thā
mire pīchhe thī vo bahkī havā kyā
zamāne par bharosa kar liyā hai
'nazar' tū ho gayā hai bāvlā kyā
kya tum ne bhi hai kal ratjaga kiya
tumhein bhi ishq hum se ho gaya kya
mera tu muddaa tu masala thi
bichhata gar tujhe to oDhta kya
yahan jis ko bhi dekho zoam mein hai
hamare shahr ko aaKHir hua kya
mere atraf mein teri sada thi
tujhe dair-o-haram mein DhunDhta kya
hai tere zehn mein tark-e-talluq
tujhe phir hum sa koi mil gaya kya
bhaTakna jab meri qismat mein shamil
pata sahraon ka phir puchhna kya
main us ke sath uDta ja raha tha
mere pichhe thi wo bahki hawa kya
zamane par bharosa kar liya hai
'nazar' tu ho gaya hai bawla kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.