kya tum se kahun mujhse wo kya puchh raha tha
kyā tum se kahūñ mujh se vo kyā pūchh rahā thā
mujh se hī mere ghar kā pata pūchh rahā thā
nafrat ke asīroñ se mirī sādgī dekho
maiñ dard-e-mohabbat kī davā pūchh rahā thā
bebāk nigāhoñ kī taraf dekh ke merā
dil mujh se taḌapne kā mazā pūchh rahā thā
kyūñkar na kiyā yaad mujhe vaqt-e-musībat
logoñ se mohabbat kā ḳhudā pūchh rahā thā
iqrār-e-mohabbat kā ye andāz ajab hai
vo karke ḳhatā merī ḳhatā pūchh rahā thā
shāyad vo isī baat pe rone lage 'dilkash'
maiñ jurm-e-mohabbat kī sazā pūchh rahā thā
kya tum se kahun mujh se wo kya puchh raha tha
mujh se hi mere ghar ka pata puchh raha tha
nafrat ke asiron se meri sadgi dekho
main dard-e-mohabbat ki dawa puchh raha tha
bebak nigahon ki taraf dekh ke mera
dil mujh se taDapne ka maza puchh raha tha
kyunkar na kiya yaad mujhe waqt-e-musibat
logon se mohabbat ka KHuda puchh raha tha
iqrar-e-mohabbat ka ye andaz ajab hai
wo karke KHata meri KHata puchh raha tha
shayad wo isi baat pe rone lage 'dilkash'
main jurm-e-mohabbat ki saza puchh raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.