kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai
kyā us kā gila yūrish-e-tohmāt bahut hai
zinda haiñ jo ham log yahī baat bahut hai
jo tum ne bujhā Daale diye un ko jalā do
ai sub.h ke matavālo abhī raat bahut hai
is vāste gul-chīñ ko huī mujh se adāvat
taz.īn-e-gulistāñ meñ mirā haath bahut hai
in firqa-parastoñ ke diloñ meñ hai kudūrat
aur vird-e-zabāñ lafz-e-musāvāt bahut hai
in amn-pasandoñ ke parakhne ko kasauTī
is daur kī tafsīl-e-fasādāt bahut hai
ye beToñ ke sar bhaa.ī kā ḳhuuñ bahnoñ kī chīḳheñ
ibrat ho agar ham ko ye sauġhāt bahut hai
behis ho jo insāñ to kahe jā.iye kuchh bhī
ġhairat ho agar dil meñ to ik baat bahut hai
siine se tarī ġham ko lagā.e to rakheñge
nā-sāz magar gardish-e-hālāt bahut hai
haañ baiTho gadā ban ke baras jā.egī daulat
in puḳhta mazāroñ meñ karāmāt bahut hai
kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai
zinda hain jo hum log yahi baat bahut hai
jo tum ne bujha Dale diye un ko jala do
ai subh ke matawalo abhi raat bahut hai
is waste gul-chin ko hui mujh se adawat
tazin-e-gulistan mein mera hath bahut hai
in firqa-paraston ke dilon mein hai kudurat
aur wird-e-zaban lafz-e-musawat bahut hai
in amn-pasandon ke parakhne ko kasauTi
is daur ki tafsil-e-fasadat bahut hai
ye beTon ke sar bhai ka KHun bahnon ki chiKHen
ibrat ho agar hum ko ye saughat bahut hai
behis ho jo insan to kahe jaiye kuchh bhi
ghairat ho agar dil mein to ek baat bahut hai
sine se tari gham ko lagae to rakhenge
na-saz magar gardish-e-haalat bahut hai
han baiTho gada ban ke baras jaegi daulat
in puKHta mazaron mein karamat bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.