kya wasl ki ummid mere dil ko kabhi ho
kyā vasl kī ummīd mire dil ko kabhī ho
us shoḳh kī tasvīr bhī jab mujh se khiñchī ho
mujh ko na bulāte haiñ na aate haiñ mire ghar
afsos hai un se na yahī ho na vahī ho
ai pīr-e-muġhāñ mujh ko tire sar kī qasam hai
tauba to kahāñ tauba kī niyyat bhī jo kī ho
vo mujh se ye kahte haiñ ki mahshar ko milūñgā
maiñ un se ye kahtā huuñ ki jo kuchh ho abhī ho
ai 'nūh' hameñ ishq meñ parvā nahīñ is kī
āzār ho yā lutf ho ġham ho ki ḳhushī ho
kya wasl ki ummid mere dil ko kabhi ho
us shoKH ki taswir bhi jab mujh se khinchi ho
mujh ko na bulate hain na aate hain mere ghar
afsos hai un se na yahi ho na wahi ho
ai pir-e-mughan mujh ko tere sar ki qasam hai
tauba to kahan tauba ki niyyat bhi jo ki ho
wo mujh se ye kahte hain ki mahshar ko milunga
main un se ye kahta hun ki jo kuchh ho abhi ho
ai 'nuh' hamein ishq mein parwa nahin is ki
aazar ho ya lutf ho gham ho ki KHushi ho
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 145)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.