kya wo dega saza nahin malum
kyā vo degā sazā nahīñ mā'lūm
jis ko merī ḳhatā nahīñ mā'lūm
maut kā hai pata ki aa.egī
zindagī kā pata nahīñ mā'lūm
kashtiyāñ do haiñ nāḳhudā tanhā
hashr honā hai kyā nahīñ mā'lūm
Dor uljhā.ī ham ne yuuñ 'aḳhtar'
kaise DhūñDheñ sirā nahiñ mā'lūm
kya wo dega saza nahin ma'lum
jis ko meri KHata nahin ma'lum
maut ka hai pata ki aaegi
zindagi ka pata nahin ma'lum
kashtiyan do hain naKHuda tanha
hashr hona hai kya nahin ma'lum
Dor uljhai hum ne yun 'aKHtar'
kaise DhunDhen sira nahin ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.