kya ye fareb-e-gardish-e-shams-o-qamar nahin
kyā ye fareb-e-gardish-e-shams-o-qamar nahīñ
ab shab bhī shab nahīñ hai sahar bhī sahar nahīñ
ā.īna kah rahā hai ki tanhā nahīñ huuñ maiñ
hairat kī baat ye ki koī ham-safar nahīñ
kahte haiñ dīda-var ki bayābāñ kaho use
vo gulsitāñ ki jis meñ koī dīda-var nahīñ
sūrat jo dekhiye to har ik mīr-e-kārvāñ
manzil se pūchhiye to koī rāhbar nahīñ
'nashtar' liye jo phirtī hai sahrā-o-dasht meñ
hai aur kyā jo hasrat-e-dīvār-o-dar nahīñ
kya ye fareb-e-gardish-e-shams-o-qamar nahin
ab shab bhi shab nahin hai sahar bhi sahar nahin
aaina kah raha hai ki tanha nahin hun main
hairat ki baat ye ki koi ham-safar nahin
kahte hain dida-war ki bayaban kaho use
wo gulsitan ki jis mein koi dida-war nahin
surat jo dekhiye to har ek mir-e-karwan
manzil se puchhiye to koi rahbar nahin
'nashtar' liye jo phirti hai sahra-o-dasht mein
hai aur kya jo hasrat-e-diwar-o-dar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.