kya ye mumkin hai ki ek KHwab musalsal dekhun
kyā ye mumkin hai ki ik ḳhvāb musalsal dekhūñ
niiñd khul jaa.e to manzar yahī phir kal dekhūñ
nīm-vā parda-e-dil kaash girā de koī
dekh pā.ūñ tirā chehra to mukammal dekhūñ
qaaf ke paar kisī des meñ jā kar utrūñ
āsmāñ par tujhe namnāk sā bādal dekhūñ
dasht-e-imkāñ se pare vaqt ke dar par pahuñchūñ
ek lamhe ko jakaḌ luuñ use pal pal dekhūñ
jaane kyā ālam-e-vahshat-asarī ho andar
kaun sā dasht vahāñ kaun sā jañgal dekhūñ
nabz ruk jaa.e nahīñ ye nahīñ lekin ai kaash
hazrat-e-dil maiñ kabhī 'mīr' sā dañggal dekhūñ
kya ye mumkin hai ki ek KHwab musalsal dekhun
nind khul jae to manzar yahi phir kal dekhun
nim-wa parda-e-dil kash gira de koi
dekh paun tera chehra to mukammal dekhun
qaf ke par kisi des mein ja kar utrun
aasman par tujhe namnak sa baadal dekhun
dasht-e-imkan se pare waqt ke dar par pahunchun
ek lamhe ko jakaD lun use pal pal dekhun
jaane kya aalam-e-wahshat-asari ho andar
kaun sa dasht wahan kaun sa jangal dekhun
nabz ruk jae nahin ye nahin lekin ai kash
hazrat-e-dil main kabhi 'mir' sa danggal dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.