kya zaruri hai ab ye batana mera
kyā zarūrī hai ab ye batānā mirā
TūTtī shāḳh par thā Thikānā mirā
ġham nahīñ ab milī haiñ jo tanhā.iyāñ
anjuman anjuman thā fasāna mirā
jo bhī aayā hadaf par vo kab bach sakā
cūktā hī nahīñ thā nishāna mirā
ik zamāna kabhī thā mirā ham-navā
tum ne dekhā kahāñ vo zamāna mirā
arz-e-bhopal se thā ta.alluq kabhī
ab to sab kuchh hai ye lāḌkāna mirā
nā-tavānī pe merī jo haiñ ḳhanda-zan
in ko album purānā dikhānā mirā
mere jaane se behtar hai 'mohsin' kabhī
bazm-e-sher-o-suḳhan meñ na jaanā mirā
kya zaruri hai ab ye batana mera
TuTti shaKH par tha Thikana mera
gham nahin ab mili hain jo tanhaiyan
anjuman anjuman tha fasana mera
jo bhi aaya hadaf par wo kab bach saka
cukta hi nahin tha nishana mera
ek zamana kabhi tha mera ham-nawa
tum ne dekha kahan wo zamana mera
arz-e-bhopal se tha talluq kabhi
ab to sab kuchh hai ye laDkana mera
na-tawani pe meri jo hain KHanda-zan
in ko album purana dikhana mera
mere jaane se behtar hai 'mohsin' kabhi
bazm-e-sher-o-suKHan mein na jaana mera
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 323)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.