kya zaruri hai ki phande pe hi laTka jae
kyā zarūrī hai kī phande pe hī laTkā jaa.e
ban ke faulād chalo hijr ko kaaTā jaa.e
kaun hai kis ko bayābāñ meñ pukārā jaa.e
ḳhud hī ab paañv ke kāñToñ ko nikālā jaa.e
itnī jaldī na use dil meñ basāyā jaa.e
aur kuchh roz na.e shaḳhs ko parkhā jaa.e
'ain mumkin hai palaT kar tumheñ de deñ na javāb
ab na.ī nasl ke bachchoñ ko na Tokā jaa.e
ik daf'a Duub ke niklā huuñ yahī kaafī hai
kaun ab 'ishq ke dariyā meñ dubāra jaa.e
maiñ 'asar' 'ishq meñ tanhā to ḳhatāvār nahīñ
us ke sar bhī koī ilzām lagāyā jaa.e
kya zaruri hai ki phande pe hi laTka jae
ban ke faulad chalo hijr ko kaTa jae
kaun hai kis ko bayaban mein pukara jae
KHud hi ab panw ke kanTon ko nikala jae
itni jaldi na use dil mein basaya jae
aur kuchh roz nae shaKHs ko parkha jae
'ain mumkin hai palaT kar tumhein de den na jawab
ab nai nasl ke bachchon ko na Toka jae
ek daf'a Dub ke nikla hun yahi kafi hai
kaun ab 'ishq ke dariya mein dubara jae
main 'asar' 'ishq mein tanha to KHatawar nahin
us ke sar bhi koi ilzam lagaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.