kya zaruri ki girun main to sanbhaale koi
kyā zarūrī ki girūñ maiñ to sañbhāle koī
aur mire paañv kā kāñTā bhī nikāle koī
ḳhushbuoñ kī tarah chāheñge zamāne vaale
pahle kirdār ko phūloñ sā banā le koī
aaj ke daur meñ shohrat kī tamanna ho agar
apne chehre pe ka.ī chehre lagā le koī
ik diyā ham ne jalāyā jo sar-e-rāhguzar
kar na de us ko havāoñ ke havāle koī
shab kī tārīkī meñ bhī nuur kā aalam hogā
pahle palkoñ pe sitāroñ ko sajā le koī
chāhe to apne har ik husn-e-amal se 'āfāq'
apne māñ-bāp kī har vaqt duā le koī
kya zaruri ki girun main to sanbhaale koi
aur mere panw ka kanTa bhi nikale koi
KHushbuon ki tarah chahenge zamane wale
pahle kirdar ko phulon sa bana le koi
aaj ke daur mein shohrat ki tamanna ho agar
apne chehre pe kai chehre laga le koi
ek diya hum ne jalaya jo sar-e-rahguzar
kar na de us ko hawaon ke hawale koi
shab ki tariki mein bhi nur ka aalam hoga
pahle palkon pe sitaron ko saja le koi
chahe to apne har ek husn-e-amal se 'afaq'
apne man-bap ki har waqt dua le koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.