kya zindagi hai koi saza sochna paDa
kyā zindagī hai koī sazā sochnā paḌā
kyoñ māñgte haiñ log duā sochnā paḌā
terā badan ye terī javānī tirā chalan
kis kis ko lag rahī hai havā sochnā paḌā
sab ke badan libās se bāhar nikal na aa.eñ
ye Dank kaun maar gayā sochnā paḌā
be-kas ġharīb par ki ġharībī haTāo par
sarmāya-dār kis pe hañsā sochnā paḌā
kyā vo hai bevaqūf ki jo boltā hai sach
is baat ko samajhnā paḌā sochnā paḌā
qātil ne aaj pheñk dī talvār kyoñ 'qamar'
kaaTā thā us ne kis kā galā sochnā paḌā
kya zindagi hai koi saza sochna paDa
kyon mangte hain log dua sochna paDa
tera badan ye teri jawani tera chalan
kis kis ko lag rahi hai hawa sochna paDa
sab ke badan libas se bahar nikal na aaen
ye Dank kaun mar gaya sochna paDa
be-kas gharib par ki gharibi haTao par
sarmaya-dar kis pe hansa sochna paDa
kya wo hai bewaquf ki jo bolta hai sach
is baat ko samajhna paDa sochna paDa
qatil ne aaj phenk di talwar kyon 'qamar'
kaTa tha us ne kis ka gala sochna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.