kyon aankh muztarib hai jo dil pak-baz hai
kyoñ aañkh muztarib hai jo dil pāk-bāz hai
shāyad mizāj-e-ishq meñ ḳhū-e-majāz hai
kyā ab bhī husn-o-ishq meñ kuchh imtiyāz hai
merī jo ruuh meñ hai vo terā hī raaz hai
barq-e-nigāh-e-nāz harīf-e-niyāz hai
in kā lagāo laag ke parde meñ raaz hai
dil meñ kahāñ samā.e kisī kā jamāl-o-husn
ā.īne kī nigāh meñ ā.īna-sāz hai
mujh ko bhī ab yaqīñ hai ki hastī hai be-sabāt
barham nigāh aap kī tafsīl-e-rāz hai
ghar se talāsh-e-dost meñ ye kah ke chal diyā
vo mil hī jā.eñge ki ḳhudā kārsāz hai
aisī barat rahā huuñ maiñ bātoñ meñ ehtiyāt
jaise ki merā rāz-e-mohabbat bhī raaz hai
'naḳhshab' maiñ bach ke chaltā huuñ farsūda raah se
merā mazāq-e-shā.irī jiddat-tarāz hai
kyon aankh muztarib hai jo dil pak-baz hai
shayad mizaj-e-ishq mein KHu-e-majaz hai
kya ab bhi husn-o-ishq mein kuchh imtiyaz hai
meri jo ruh mein hai wo tera hi raaz hai
barq-e-nigah-e-naz harif-e-niyaz hai
in ka lagao lag ke parde mein raaz hai
dil mein kahan samae kisi ka jamal-o-husn
aaine ki nigah mein aaina-saz hai
mujh ko bhi ab yaqin hai ki hasti hai be-sabaat
barham nigah aap ki tafsil-e-raaz hai
ghar se talash-e-dost mein ye kah ke chal diya
wo mil hi jaenge ki KHuda karsaz hai
aisi barat raha hun main baaton mein ehtiyat
jaise ki mera raaz-e-mohabbat bhi raaz hai
'naKHshab' main bach ke chalta hun farsuda rah se
mera mazaq-e-shairi jiddat-taraaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.